|
Subscribe & Rate Me |
|
Blog Catalog |
|
Subscribe the feed |
|
Visitors |
|
|
Maa, tum kahi.. |
Wednesday, April 4, 2007 |
Mujhe sote me niharti ho Mujhe rote hue dularti ho Ek kale tike se na jane kaise Meri balaye utarti ho Jis bhagwan ki baatei tum kerti ho, Maa--- kahi tum wo bhagwan to nahi ho
Mere ek roti kam khane me ruth jati ho Maa--- kahi tum wo bhagwan to nahi ho
Tumhe dard nahi hota, Tum athak ho.. Tum jeevan deti ho,jab bhi pukar lu,tum har waqt ho Tum Janani,palnhar ho,Iska aur kya arth hai- Tumhara sneha agadh hai, wo bi niswarth hai Tum kahti thi bhagwan humesha dukh me yad aate hai Mujhe bhi kal chot lagi, par maine tumhara nam liya
Maa-- kahi tum wo bhagwan to nahi ho
Tum kahti thi bhagwan har jagah hote hai,,man ki aakho se dekho Par Mai tumhe dekhta hu,tum har kahi ho Maa-- mujhe batao tum wo bhagwan to nahi ho
Har kathin ghari me tum kahti thi bhagewan becha lete hai Kal jab mai ro reha tha,,Tumahre aachal ne mere aaso sonkh liye Meri khushi ke liye tum kitne dukh sahi ho.. Maa --kahi tum wo bhagwan to nahi ho?
Maine bhagwan ko to nahi dekha Maine tumhe dekha hai Aur jaisa tumne bhagwan ke bare me bataya hai, Tum bilkul waisi ho Jis bhagwan ki baatei tum kerti ho Maa tum devi ho, par anjan ho ki usi bhagwan ka vardan ho Maa-- Tum wahi bahgwan ho,,,!!!
~DheerajLabels: Poems, Turn The pages |
posted by Dheeraj @ 12:52 AM |
|
2 Comments: |
-
great if written by u.....
-
Thats sacrilege and praise at the same breath!
|
|
<< Home |
|
|
|
|
|
great if written by u.....